Aye Rasool-E-Amii.n ! Khaatam-al-mursalii.n Roman(ENG): aye rasool-e-ameen ! khaatam-al-mursaleen tujh-sa koi nahi.n, tujsa koi nahi.n hai aqeedaah ye apna ba-sidq-o-yaqeen tujh-sa koi nahi.n, tujsa koi nahi.n aye rasool-e-ameen ! khaatam-al-mursaleen bazm-e-konain pahle sajaaee gayi phir teri zaat manzar pe laayi gayi sayyad-ul-awwaleen, sayyad-ul-aakhareen tujh-sa koi nahi.n, tujsa koi nahi.n mustafa, mujtaba, teri maddah-o-Sana mere bas me.n nahi.n, dastaras me.n nahi.n dil ko himmat nahi.n, lab ko yaara nahi.n tujh-sa koi nahi.n, tujsa koi nahi.n aye rasool-e-ameen ! khaatam-al-mursaleen dast-e-qudrat ne aisa banaaya tujhe jumla awsaaf se khud sajaaya tujhe aye ajal ke haseen, aye abad ke haseen dhoondhti hai tujhe meri jaan-e-hazeen tera sikka rawaa.n kul jahaa.n me.n huwa is zamee.n me.n huwa, aasmaa.n me.n huwa kya 'arab kya ajam, sab he.n zer-e-nagee.n taubah-taubah nahi.n koi tujhsa nahi.n aye rasool-e-ameen ! khaatam-al-mursaleen tujh-sa koi nahi.n, tujh-sa koi nahi.n hai...